Hajj Poem (Hamd) Video By Junaid Jamshed – Woh Kaba yaad Aata Hay, Woh Makkah Yad Aata Hay
Shaheed Junaid Jamshaid has recited a very beautiful poem on the Hajj. In this poem (Hamd) he described all feeling he felted during performing hajj baitullah.
Hajj Training 2018 News Report
Complete Hajj Poem
Mujhay furqat main reh kar phir, woh Makkah yad aata hay
Woh Zam Zam yad aata hay, woh Kaba yad aata hay
Pahin kar sirf do kapray, mera woh cheekhtay phirna
Woh koshish yad aatai hay, woh nara yad aata hay
Jahan ja kar main sar rakhta, jahan main hath phailata
Woh choukhat yad aati hay, woh parda yad aata hay
Kabhi phir un say hat kar, dekhna Kabay ko hasrat say
Woh hasrat yad aati hay, woh Kaba yad aata hay
Kabhi jana Mina aur, Kabhi Maidan e Arfa ko
Woh majma yad aata hay, woh sehra yad aata hay
Woh pathar marna shaitan ko, takbeer parh parh kar
Woh ghogha yad aata hay, Woh Soda yad aata hay
Mina main reh kar ratoon ko, duaain mangna mera
Woh nalay yad aatay hain, woh girya yad aata hay
Woh rukhsat ho kay mera, dekhna kabay ko mur mur kar
Woh manzar yad aata hay, woh jalwa yad aata hay
Youtube Video Sung by Junaid Jamshaid (Late)
https://www.facebook.com/shakerlines/videos/1878622632209146/